Yeh Aaina Hai Ya Tu Hai Lyrics By Shreya Ghosal
SONG INFOSinger: Shreya Ghoshal
Movie: Kabir Singh
Lyricist: Irshad Kamil
Music: Amaal Mallik
Director: Sandeep Reddy Vanga
Cast: Shahid Kapoor, Kiara Advani
Music Label: T-Series
Yeh Aaina Hai Ya Tu Hai Lyrics in Hindi
Yeh aaina hai ya tu haiJo roz mujhko sanwaare
Itna lagi sochne kyun
Main aajkal tere baare
Tu jheel khamoshiyon ki
Lafzon ki main toh lehar hoon
Ehsaas ki tu hai duniya
Chhota sa main ek shehar hoon
Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanwaare
Khud se hai agar tu bekhabar bekhabar
Rakh loon main tera khayal kya
Chupke chupke tu nazar mein utar
Sapno mein loon main sambhaal kya
Sapno mein loon main sambhaal kya
Main daud ke paas aaun
Tu neend mein jo pukaare
Main ret hoon tu hai dariya
Baithi hoon tere kinaare
Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanwaare
Tanha hai agar tera safar humsafar
Tanhaai ka main jawaab hoon
Hoga mera bhi asar tu agar
Padh le main teri kitaab hoon
Padh le main teri kitaab hoon
Seene pe mujhko sajaa ke
Jo raat saari guzaare
Toh main savere se keh doon
Mere shehar tu na aa re
Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanwaare
Ya Aaina Hai Ya Tu Hai - Kabir Singh
More Lyrics From Movie Kabir Singh:- Tujhe Kitna Chahne Lage Hum Lyrics
- Bekhayali Lyrics
- Mere Sohneya Lyrics
- Kaise Hua Lyrics
- Tera Ban Jaunga Lyrics
- Pehla Pyar Lyrics
- Tujhe Kitna Chahein Aur Hum Lyrics
Tag: Yeh Aaina Hai Ya Tu Hai Lyrics, Shreya Ghoshal, Kabir Singh.
