Bewafa Tera Masoom Chehra Lyrics - Jubin Nautiyal - Song, WebSeries & Movies

Bewafa Tera Masoom Chehra Lyrics – Jubin Nautiyal

Lyrics

“Woh Bhi Kya Din The Yaar
Tumhein Dekh Kar Saari
Yaadein Taza Ho Gayi
Tumhare Gale Khanak
Aur Ayat Ki Payal Ki Chhanak
Poora Mohalla Goonj Uthta Tha”

Dil Laga Bhi Liya Ishq Bhi Kar Liya
Chandni Raat Mein Humne Taare Gine
Dil Laga Bhi Liya Ishq Bhi Kar Liya
Chandni Raat Mein Humne Taare Gine

Khwaab Jaisa Koyi Khwaab Thi Zindagi
Neend Tooti Toh Aaya Samajh Yeh Humein
Raah Woh Jispe Main Chal Raha Tha
Uski Koyi Bhi Manjil Nahi Hai

Bewafa Tera Masoom Chehra
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Bewafa Tera Masoom Chehra
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai

Bewafa Tera Masoom Chehra
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Khoobsurat Bahut Hai Tu Lekin
Dil Lagane Ke Kaabil Nahi Hai

Bewafa Tera Masoom Chehra
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai

Ho Meri Yaadon Se Tu Aaj Tak Na Gaya
Aankh Mein Baarishein Teri Maujood Hai
Meri Yaadon Se Tu Aaj Tak Na Gaya
Aankh Mein Baarishein Teri Maujood Hai

Aaj Bhi Mehfilon Mein Tere Aur Mere
Naam Pehle Ki Tarah Hi Mashoor Hai
Mere Barbadiyon Ki Wajah Mein
Kehte Hai Ki Tu Shaamil Nahi Hai

Katal Baazaar Mein Ho Chuka Hu
Phir Bhi Tu Mera Kaatil Nahi Hai

Bewafa Tera Masoom Chehra
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Shayari II

“Kabhi Is Ore Kabhi Us Ore Chale Jaate Ho
Mohabbat Hamse Wafa Ghairon Se
Yeh Hunar Kahan Se Laate Ho
Karvat Badal Leta Hu Main Aaj-Kal
Jo Kabhi Mere Khwabon Mein
Tum Chale Aate Ho”

Jhoothi Wafayon Ki Jhoothi Kahani
Hai Tune Sunayi Mujhe
Mere Liye Toh Khuda Bhi Tha Jhootha
Main Sach Maan Baitha Tujhe

Jhoothi Wafayon Ki Jhoothi Kahani
Hai Tune Sunayi Mujhe
Mere Liye Toh Khuda Bhi Tha Jhootha
Main Sach Maan Baitha Tujhe

Saare Ke Saare Zakham Hai Sambhale
Jo Tune Diye The Mujhe
Ab Dhadakta Hai Seene Mein Mere
Hai Woh Patthar Koyi Dil Nahi Hai

Zindagi Bhar Jise Maine Chaha
Zindagi Bhar Jise Maine Chaha
Marke Bhi Mujhko Haasil Nahi Hai

Bewafa Tera Masoom Chehra
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai
Bhool Jaane Ke Kaabil Nahi Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top